03.151 Hum un-qarib kafiron kay dilon mein rob daal den gay iss waja say kay yeh Allah kay sath unn cheezon ko sharik kertay hain jiss ki koi daleel Allah ney nahi utaari inn ka thikana jahannum hai aur inn zalimon ki buri jagah hai. |
|
03.152 Allah Taalaa ney tum say apna wada sacha ker dikhaya jabkay tum uss kay hukum say enhen kaat rahey thay. Yahan tak kay jab tum ney pust himmati ikhtiyar ki aur kaam mein jhagarney lagay aur na farmani ki uss kay baad uss ney tumhari chahat ki cheez tumhen dikha di tum mein say baaz duniya chahatay thay aur baaz ka irada aakhirat ka tha to phir uss ney tumhen unn say pher diya kay tum ko aazmaye aur yaqeenan uss ney tumhari laghzish say dar guzar farma diya aue eman walon per Allah baray fazal wala hai. |
|
03.153 Jabkay tum charhay chalay jarahey thay aur kissi ki taraf tawajja tak nahi kertay thay aur Allah kay rasool tumhen tumharay peechay say aawazen dey rahey thay bus tumhen ghum per ghum phoncha takay tum fot shuda cheez per ghumgeen na ho aur na phonchney wali (takleef) per udas ho Allah Taalaa tumharay tamam aemaal say khabardaar hai. |
|
03.154 Phir uss ney iss ghum kay baad tum per aman nazil farmaya aur tum mein say aik jamat ko aman ki neend aaney lagi. Haan kuch woh log bhi thay kay unhen apni janon ki pari hui thi woh Allah Taalaa kay sath na haq jahalat bhari bad gumani ker rahey thay aur kehtay thay kiya humen bhi kissi cheez ka ikhtiyar hai? Aap keh dijiye kay kaam kul ka kul Allah hi kay ikhtiyar mein hai yeh log apney dilon kay bhed aap ko nahi batatay kehtay hain kay agar humen kuch bhi ikhtiyar hota to yahan qatal na kiye jatay. Aap keh dijiye kay go tum apney gharon mein hotay phir bhi jin ki qismat mein qatal hona tha woh to maqtal ki taraf chal kharay hotay Allah Taalaa ko tumharay seenon ki andar ki cheez ka aazmana aur jo kuch tumharay dilon mein hai uss ko pak kerna tha aur Allah Taalaa seenon kay bhed say aagah hai. |
|
03.155 Tum mein say jin logon ney uss din peeth dikhaee jiss din dono jamaton ki mudd bher hui thi yeh log apney baaz kartooton kay baees shetan kay phuslaney mein aagaye lakin yaqeen jano kay Allah Taalaa ney unhen moaf ker diya Allah Taalaa hai bakshney wala aur tahammul wala. |
|
03.156 Aey eman walo! Tum unn logon ki tarah na ho jana jinhon ney kufur kiya aur apney bhaiyon kay haq mein jabkay woh safar mein hon ya jihad mein hon kaha kay agar yeh humaray pass hotay to na martay aur na maaray jatay iss ki waja yeh thi kay iss khayal ko Allah Taalaa unn ki dili hasrat ka sabab bana dey Allah Taalaa jilata aur maarta hai aur Allah tumharay amal ko dekh raha hai. |
|
03.157 Qasam hai agar Allah Taalaa ki raah mein shaheed kiye jao ya apni maut maro to be-shak Allah Taalaa ki bakshish-o-rehmat uss say behtar hai jisay yeh jama ker rahey hain. |
|
03.158 Bil yaqeen tum marr jao ya maar dalay jao jama to Allah Taalaa hi ki taraf kiye jao gay. |
|
03.159 Allah Taalaa ki rehmat kay baees aap inn per naram dil hain aur agar aap bad zaban aur sakht dil hotay to yeh sab aap kay pass say chatt jatay so aap inn say dar guzar keren aur inn kay liye istaghfaar keren aur kaam ka mashwara inn say kiya keren phir jab aap ka pukhta irada hojaye to Allah Taalaa per bharosa keren be-shak Allah Taalaa tawakkal kerney walon say mohabbat kerta hai. |
|
03.160 Agar Allah Taalaa tumhari madad keray to tum per koi ghalib nahi aa sakta aur agar woh tumhen chor dey to uss kay baad kaun hai jo tumhari madad keray? Emal walon ko Allah Taalaa per hi bharosa rakhan chahaiye. |
|
03.161 Na mumkin hai kay nabi say khayanat hojaye her khayanat kerney wala khayanat ko liye huye qayamat kay din hazir hoga phir her shaks apney aemaal ka poora poora badla diya jayega aur woh zulm na kiye jayen gay. |
|
03.162 Kiya pus woh shaks jo Allah Taalaa ki khushnoodi kay dar pay hain uss shaks jaisa hai jo Allah Taalaa ki narazgi ley ker lot’ta hai? Aur jiss ki jagah jahannum hai jo bad tareen jagah hai. |
|
03.163 Allah Taalaa kay pass inn kay alag alag darjay hain aur inn kay tamam aemaal ko Allah bakhoobi dekh raha hai. |
|
03.164 Be-shak musalmanon per Allah Taalaa ka bara ehsan hai kay inn hi mein say aik rasool inn mein bheja jo enhen uss ki aayaten parh ker sunata hai aur enhen pak kerta hai aur enhen kitab aur hikmat sikhata hai yaqeenan yeh sab iss say pehlay khuli gumrahi mein thay. |
|
03.165 (kiya baat hai kay) kay jab tumhen aik aisi takleef phonchi kay tum iss jaisi do chand phonch chukay to yeh kehney lagay kay yeh kahan say aagaee? Aap keh dijiye kay yeh khud tumhari taraf say hai be-shak Allah Taalaa her cheez per qadir hai. |
|
03.166 Aur tumhen jo kuch uss din phoncha jiss din do jamaton mein mudd bher hui thi woh sab Allah kay hukum say tha aur iss liye kay Allah Taalaa eman walon ko zahiri tor per jaan ley. |
|
03.167 Aur munafiqon bhi maloom kerley jin say kaha gaya kay aao Allah ki raah mein jihad kero ya kafiron ko hatao to woh kehney lagay kay agar hum laraee jantay hotay to zaroor sath detay woh uss din ba nisbat eman kay kufur say boht qarib thay apney mun say woh baaten banatay hain jo inn kay dilon mein nahi aur Allah Taalaa khoob janta hai jisay woh chupatay hain. |
|
03.168 Yeh woh log hai jo khud bhi behtay rahey aur apney bhaiyon ki babat kaha kay agar woh bhi humari baat maan letay to qatal na kiye jatay. Keh dijiye! kay agar tum sachay ho to apni janon say maut ko hata do. |
|
03.169 Jo log Allah ki raah mein shaheed kiye gaye hain unn ko hergiz murda na samjhen bulkay woh zinda hain apney rab kay pass say roziyan diye jatay hain. |
|
03.170 Allah Taalaa ney jo apna fazal unhen dey rakha hai uss say boht khush hain aur khushiyan mana rahey hain unn logon ki babat jo abb tak unn say nahi milay unn kay peechay hain iss per kay unhen na koi khof hai aur na woh ghumgeen hongay. |
|
03.171 Woh khush hotay hain Allah ki nemat aur fazal say aur iss say bhi kay Allah Taalaa eman walon kay ajar ko barbad nahi kerta. |
|
03.172 Jin logon ney Allah aur uss kay rasool kay hukum ko qabool kiya iss kay baad kay unhen pooray zakham lag chukay thay inn mein say jinhon ney neki ki aur perezgari barti unn kay liye boht ziyada ajar hai. |
|
03.173 Woh log kay jab inn say logon ney kaha kay kafiron ney tumharay muqabley mein lashkar jama ker liye hain tum unn say khof khao to iss baat ney unhen eman mein aur barha diya aur kehne lagay humen Allah kafi hai aur woh boht acha kaar saaz hai. |
|
03.174 (nateeja yeh hua kay) Allah ki nemat-o-fazal kay sath yeh lotay enhen koi buraee na phonchi enhon ney Allah Taalaa ki raza mandi ki pairwi ki Allah boht baray fazal wala hai. |
|
03.175 Yeh khabar denay wala sird shetan hi hai jo apney doston say darata hai tum inn kafiron say na daro aur mera khof rakho agar tum momin ho.
03.176 Kufur mein aagay barhney walay log tumhen ghum naak naa keren yaqeen maano kay yeh Allah Taalaa ka kuch na bigar saken gay Allah Taalaa ka irada hai kay inn ka liye aakhirat ka koi hissa ata na keray aur inn kay liye bara azab hai. |
|
03.177 Kufur ko eman kay badlay khareedney walay hergiz hergiz Allah Taalaa ko koi nuksan nahi phoncha saktay aur inn hi kay liye alam naak azab hai. |
|
03.178 Kafir log humari di hui mohlat ko apney haq mein behtar na samjhen yeh mohlat to iss liye hai kay woh gunahon mein aur barh jayen inn hi kay liye zaleel kerney wala azab hai. |
|
03.179 Jiss haal per tum ho ussi per Allah eman walon ko na chor dey ga jab tak kay pak aur na pak ko alag alag na ker dey aur na Allah Taalaa aisa hai kay tumhen ghaib say aagah ker dey bulkay Allah Taalaa apney rasoolon mein say jiss ka chahaye intikhab ker leta hai iss liye tum Allah Taalaa per aur uss kay rasoolon per eman rakho agar tum eman lao aur taqwa kero to tumharay liye bhari ajar hai. |
|
03.180 Jinhen Allah Taalaa ney apney fazal say kuch dey rakha hai woh iss mein apni kanjoosi ko apney liye behtar khayal na keren bulkay woh inn kay liye nihayat bad tar hai un-qarib qayamat walay din yeh apni kanjoosi ki cheez kay toq daalay jayen gay aasmanon aur zamin ki meeras Allah Taalaa hi kay liye aur jo kuch tum ker rahey ho uss say Allah Taalaa aagah hai. |
|
03.181 Yaqeenan Allah Taalaa ney unn logon ka qol bhi suna jinhon ney kaha kay Allah Taalaa faqir hai aur hum to toongar hain unn kay iss qol ko hum likh len gay. Aur inn ka anbiya ko bila waja qatal kerna bhi aur hum inn say kahen gay kay jalney wala azab chakho!. |
|
03.182 Yeh tumharay paish kerda aemaal ka badla hai aur Allah Taalaa apney bandon per zulm kerney wala nahi. |
|
03.183 Yeh woh log hai jonhon ney kaha kay Allah Taalaa ney humen hukum diya hai kay kissi rasool ko na manen jab tak woh humaray pass aisi qurbani na laye jissay aag kha jaye. Aap keh dijiye kay agar um sachay ho to mujh say pehlay tumharay pass jo rasool deegar moajzon kay sath yeh bhi laye jissay tum keh rahey ho to phir tum ney unhen kiyon maar dala? |
|
03.184 Phir bhi agar yeh log aap ko jhutlayen to aap say pehlay bhi boht say woh rasool jhutlaye gaye hain jo roshan daleelen aur munawar kitab ley ker aaye. |
|
03.185 Her jaan maut ka maza chakhney wali hai aur qayamat kay din tum apney badlay pooray pooray diye jao gay pus jo shaks aag say hata diya jaye aur jannat mein dakhil ker diya jaye be-shak woh kaamyaab hogaya aur duniya ki zindagi to sirf dhokay ki jinss hai. |
|
03.186 Yaqeenan tumharay maalon aur tumhari jaanon say tumhari aazmaish ki jaye gi aur yeh bhi yaqeen hai kay tumhen unn logon ki jo tum say pehlay kitab diye gaye aur mushrikon ki boht si dukh denay wali baaten bhi sunni paren gi aur agar tum sabar kerlo aur perhezgari ikhtiyar kero to yaqeenan yeh boht bari himmat ka kaam hai. |
|
03.187 Aur Allah Taalaa ney jab ehal-e-kitab say ehad liya kay tum issay sab logon say zaroor biyan kero gay aur issay chupao gay nahi to phir bhi inn logon ney iss ehad ko apni peeth peechay daal diya aur issay boht kum qeemat per baich daala. Inn kay yeh beopaar boht bura hai. |
|
03.188 Woh log jo apney kartooton per khush hain aur chahatay hain kay jo unhon ney nahi kiya uss per bhi unn ki tareef ki jayen aap unhen azab say chutkaray mein na samjhiye inn kay liye to dard naak azab hai. |
|
03.189 Aasmanon aur zamin ki badshahi Allah hi kay liye hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai. |
|
03.190 Aasmanon aur zamin ki pedaish mein aur raat din kay hair pher mein yaqeenan aqal mandon kay liye nishaniyan hain. |
|
03.191 Jo Allah Taalaa ka zikar kharay aur bethay aur apni kerwaton per letay huye kertay hain aur aasmanon-o-zamin ki pedaish mein ghor-o-fiker kertay hain aur kehtay hain aey humaray perwerdigar! Tu ney yeh bey faeeda nahi banaya tu pak hai pus humen aag kay azab say bacha ley. |
|
03.192 Aey humaray palney walay! Tu jissay jahannum mein dalay yaqeenan tu ney ussay ruswa kiya aur zalimon ka madadgar koi nahi. |
|
03.193 Aey humaray rab! Hum ney suna kay munadi kerney wala ba-aawaz buland eman ki taraf bula raha hai kay logo! Apney rab per eman lao pus hum eman laye. Ya elahee! Abb to humaray gunah moaf farma aur humari buraiyan hum say door ker dey aur humari maut nekon kay sath ker. |
|
03.194 Aey humaray palney walay mabood! Humen woh dey jiss ka wada tu ney hum say apney rasoolon ki zabani kiya hai aur humen qayamat kay din ruswa na ker yaqeenan tu wada khilafi nahi kerta. |
|
03.195 Pus unn kay rab ney unn ki dua qabool farma li kay tum say kissi kaam kerney walay kay kaam ko khuwa woh mard ho ya aurat mein hergiz zaya nahi kerta tum aapas mein aik doosray kay hum jinss ho iss liye woh log jinhon ney hijrat ki aur apney gharon say nikal diye gaye aur jinhen meri raah mein izza di gaee aur jinhon ney jihad kiya aur shaheed kiye gaye mein zaroor zaroor unn ki buraiyan unn say door kerdoon ga aur bil yaqeen unhen unn jannaton mein ley jaon ga jin key neechay nehren beh rahi han yeh hai sawab Allah Talaa ki taraf say aur Allah Taalaa hi kay pass behtareen sawab hai. |
|
03.196 Tujhay kafiron ka shehron mein chalna phirna fareb mein na daal dey. |
|
03.197 Yeh to boht hi thora faeeda hai iss kay baad unn ka thikana to jahannum hai aur woh buri jagah hai. |
|
03.198 Lekin jo log apney rab say dartay rahey unn kay liye jannaten hain jin kay neechay nehren jari hain inn mein woh hamesha rahen gay yeh mehmani hai Allah ki taraf say aur nek kaaron kay liye jo kuch Allah Taalaa kay pass hai woh boht hi behtar hai. |
|
03.199 Yaqeenan ehal-e-kitab mein say baaz aisay bhi hain jo Allah Taalaa per eman latay hain aur tumhari taraf jo utaata gaya hai aur unn ki janib jo nazil hua uss per bhi Allah Taalaa say dartay hain aur Allah Taalaa ki aayaton ko thori thori qeemat per baichtay bhi nahi inn ka badla inn kay rab kay pass hai yaqeenan Allah Taalaa jald hisab lenay wala hai. |
|
03.200 Aey eman walo! Tum sabit qadam raho aur aik doosray ko thamay rakho aur jihad kay liye tayyar raho aur Allah Taalaa say dartay raho takay tum murad ko phoncho.
|
|
No comments:
Post a Comment