UMMAT-RASOOL (GROUP) FOLLOWER' S

Hazrat Ali Bin Abi Talib كَرَّمَاللهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Ke Manaqib

Hazrat Ali Bin Abi Talib كَرَّمَاللهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Ke Manaqib

Hazrat Ali Bin Abi Talib كَرَّمَاللهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Ke Manaqib
Hazrat Ali كَرَّمَاللهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Kee Manaqib
ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِينَ وَالصَّلوٰةُ والسَّﻻَمُ عَلىٰ سَيِدِ الْمُرْ سَلِيْنَ
اَمّاَ بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطٰنِ الرَّجِيْم بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم
(1)“Aik Anasri Shakhs Aboo Hamzah Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Hazrat Zayd Bin Arqam Ko RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ko Farmate Huwe Suna Ki Sab Se Pehle Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Imaan Laaye.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi, Ahmad Aur Haakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Haakim Ne Farmaya Ki Yeh Hadith Hasan Sahih Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/642, Raqam-3735,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/367,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/447, Raqam-4663,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/371, Raqam-32106,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/406, Raqam-12151,
22/452, Raqam-1102,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/102,
(2)  “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Peer Ke Din Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Bi’sat Huwi Aur Mangal Ke Din Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Namaz Padhi.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Haakim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/640, Raqam-3728,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/121, Raqam-4587,
Manawi Fi Fayd-ul-Qadir, 04/355,
(3) “Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Riwayat Hai Woh Farmate Hain Sab Se Pehle Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Namaz Padhi.”
“Ise Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Hai Ki Is Ke Baare Me Ahl-E-Ilm Ka Ikhtilaaf Hai.
Baa’z Ne Kaha :
Sab Se Pehle Aboo Bakr Sirddique RadiyAllahu Ta’ala Anhu Islaam Laaye Aur Baa’z Ne Kaha :
Sab Se Pehle Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Islaam Laaye Jab Ki Baa’z Muhaddithin Ka Kehna Hai Ki Mardon Me Sab Se Pehle Islaam Laane Waale Hazrat Aboo Bakr Siddique RadiyAllahu Ta’ala Anhu Hain Aur Bachchon Me Sab Se Pehle Islam Laane Waale Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hain Kyun Ki Woh Aanth Baras Kee Umr Me Islaam Laaye Aur Aurton Me Sab Se Pehle Musarraf Ba-Islam Hone Waali Hazrat Khadijat-ul-Kubra RadiyAllahu Ta’ala Anha Hain.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/642, Raqam-3734
(4)   “Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta’ala Anhu Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Aik Taweel Hadith Me Riwayat Karte Hain Ki Unhone Farmaya :
Hazrat Khadijah RadiyAllahu Ta’ala Anha Ke Baa’d Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Logo’n Me Sab Se Pehle Islam Laaye.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Ibn Abi Aasim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Raqam-3062,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/603,
Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 03/21,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/119,
(5)  “Hazrat Habbah Uraniyyi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Minbar Par Hanste Huwe Dekha Aur Mein Ne Kabhi Bhi Aap Ko RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ko Is Se Zyaadah Hanste Huwe Nahin Dekha.
Yaha’n Tak Ki Aap RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Daant Nazar Aane Lage.
Phir Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya :
Mujhe Apne Waalid Aboo Talib Ka Qaul Yaad Aa Gaya Tha.
Aik Din Woh Hamaare Paas Aaye Jab Ki Mein Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Tha Aur Hum Waadi-E-Nakhlah Me Namaz Ada Kar Rahe They, Pas Unhone Kaha :
Aye Mere Bhatije !
Aap Kya Kar Rahe Hain ?
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Aap Ko Islam Kee Da’wat Dee To Unhone Kaha :
Jo Kuchh Aap Kar Rahe Hai Hain Ya Keh Rahe Hain Us Me Koi Harj Nahin Lekin Aap Kabhi Bhi (Tajurbe Me) Meri Umr Se Zyaadah Nahin Ho Sakte.
Pas Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Apne Waalid Kee Is Baat Par Hans Deeye Phir Farmaya :
Aye Allah !
Mein Nahin Jaanta Ki Mujh Se Pehle Is Ummat Ke Kisi Aur Fard Ne Teri Ibaadat Kee Ho Siwaaye Tere Nabi SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke, Yeh Teen-03 Martaba Dohraaya Phir Farmaya :
Tehqique Mein Ne Aammat-un-Naas Ke Namaz Padhne Se Saath-07 Saal Pehle Namaz Ada Kee.”
Is Hadith Ko Imam Ahmed Bin Hanbal Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/99, Raqam-776,
Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/36, Raqam-188,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/102,
(6)  “Hazrat Salman Farsi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Woh Bayan Karte Hain Ki Ummat Me Se Sab Se Pehle Hawz-E-Kawsar Par Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hone Waale Islam Laane Me Sab Se Awwal Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hain.”
Is Hadith Ko Imam Ibn Abi Shaybah Aur Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/267, Raqam-35954,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/265, Raqam-6174,
Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 01/149, Raqam-179,
Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 02/31,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/102,
(7)  “Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Ghazwa-E-Tabook Ke Mauqa Par Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Madinah Me Chhod Diya, Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Arz Kiya :
Ya RasoolAllah  ﷺ!
Kya Aap Mujhe Aurton Aur Bachchon Me Pichhe Chhod Kar Jaa Rahe Hain ?
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahin Ki Mere Saath Tumhaari Wohi Nisbat Ho Jo Hazrat Haroon عَلَيْهِ السَّلَام Kee Hazrat Moosa عَلَيْهِ السَّلَام Se Thi AlBatta Mere Baa’d Koi Nabi Nahin Hoga.”
Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai Aur Mazkoorah Alfaaz Imam Muslim Ke Hain.

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1602, Raqam-4154,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1871, Raqam-1870,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/638, Raqam-3724,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/185, Raqam-1608,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/370, Raqam-6927,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 09/40,
(8)  “Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Farmate Huwe Suna Jab Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Baa’z Maghaazi Me Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Pichhe Chhod Diya, Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Arz Kiya :
Ya RasoolAllah  ﷺ!
Aap Ne Mujhe Aurton Aur Bachchon Me Pichhe Chhod Diya Hai ?
To Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya :
Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahin Ho Ki Tum Mere Liye Aise Ho Jaise Moosa عَلَيْهِ السَّلَام Ke Liye Haroon عَلَيْهِ السَّلَام They, AlBatta Mere Baa’d Koi Nabi Nahin Hoga Aur Ghazwa-E-Khaibar Ke Din Me Ne Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Yeh Suna Ki Kal Mein Is Shakhs Ko Alam (Alam) Doonga Jo Allah ﷻ Aur Us Ka Rasool   ﷺUs Se Muhabbat Karte Hain, So Hum Sab Is Sa’adat Ke Husool Ke Intezaar Me They, Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Famaya :
Ali Ko Mere Paas Bulaaein, Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Laaya Gaya, Us Waqt Woh Aashoob-E-Chashm Me Mubtala They, Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Un Kee Aankhon Me Luaab-E-Dahan Daala Aur Unhein Alam (Jhanda) Ata’ Kiya, Allah Ta’ala Ne Un Ke Haath Par Khaybar Fateh Kar Diya Aur Jab Yeh Aayat Naazil Huwi :
“Aap Farma Dijiye Aawo Hum Apne Beton Ko Bulaaein Aur Tum Apne Beton Ko Bulaao.”
To Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Hazrat Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhum Ajmaeen Ko Bulaaya Aur Kaha :
Aye Allah ﷻ!
Yeh Mera Kunba Hai.”
Is Hadith Ko Imam Muslim Aur Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1871, Raqam-2404,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/638, Raqam-3724
(9)   “Hazrat Abd-ul-Allah Bin Amariw Bin Hind Jamaliyyi Kehte Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya :
Agar Mein Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Koi Chiz Mangta To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Mujhe Ata’ Farmate Aur Agar Khaamosh Rehta To Bhi Pehle Mujhe Hee Dete.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/637, Raqam-3722, 3729,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/142, Raqam-8504,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/135, Raqam-4630,
Maqdisi Fi Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 02/235, Raqam-614,.
(10)   “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam  Ne Ghazwa-E-Taa’if Ke Mauqa Par Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Bulaaya Aur Un Se Shargoshi Kee, Log Khene Lage Aaj Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Apne Chachazaad Bhaai Ke Saath Kaafi Der Tak Shargoshi Kee.
So Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Mein Ne Nahin Kee Balki Allah Ne Khud Un Se Shargoshi Kee Hai.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Ibn Abi Aasim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Yeh Hadith Hasan Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/639, Raqam-3726,
Ibn Abi Asim Fi As-Sunnah, 02/598, Raqam-1321,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/186, Raqam-1756,
(11)   “ Hazrat Aboo Saeed RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aye Ali !
Mere Aur Tumhaare Ilaawah Kisi Ke Liye Jaaiz Nahin Ki Haalat-E-Janabat Me Is Masjid Me Rahe.
Imam Ali Bin Mundhir Kehte Hain Ki Mein Ne Zaraar Bin Surad Se Is Ka Ma’na Puchha To Unhone Farmaya :
Is Se Muraad Masjid Ko BaTaur Raasta Isti’maal Karna Hai.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi, Bazzar Aur Aboo Ya’la Ne Riwayat Kiya Aur Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Yeh Hadith Hasan Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/639, Raqam-3727,
Bazzar Fi Al-Musnad, 04/36, Raqam-1197,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/311, Raqam-1042,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 07/65, Raqam-13181,
(12)   “Hazrat Umme Atiyyah RadiyAllahu Ta’ala Anha Farmati Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Aik Lashkar Bheja Us Me Us Me Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Bhi They Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Dekha Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Haath Utha Kar Duaa Kar Rahe They Ki Ya Allah !
Mujhe Us Waqt Tak Mout Na Dena Jab Tak Mein Ali Ko (Waapas Ba-Khair Wa Aafiyat) Na Dekh Loo’n.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Tabarani Ne Bayan Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Yeh Hadith Hasan Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/643, Raqam-3737,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 25/68, Raqam-168,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/48, Raqam-2432,
Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/609, Raqam-1039,
(13)   “Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Allah Ta’ala Aboo Bakr Par Raham Farmaein Us Ne Apni Beti  Mere Nikaah Me Dee Aur Mujhe Daar-il-Hijrah Le Kar Aaye Aur Bilaal Ko Bhi Unhone Apne Maal Se Aazaad Karaaya.
Allah Ta’ala Umar Par Raham Farmaein Yeh Hamesha Haque Baat Karte Hain Agarche Woh Kadwi Ho Isi Liye Woh Is Haal Me Hai Ki Un Ka Koi Dost Nahin.
Allah Ta’ala Usman Par Raham Farmaein.
Is Se Farishte Bhi Haya Karte Hain.
Allah Ta’ala Ali Par Raham Farmaein.
Ya Allah !
Yeh Jaha’n Kahin Bhi Ho Haque Us Ke Saath Rahe.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi , Aur Hakim Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/633, Raqam-3714,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/134, Raqam-4629,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/95, Raqam-5906,
Bazzar Fi Al-Musnad, 03/52, Raqam-806,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01 : 418, Raqam-550,
(14)    “ Hazrat Hubsiyy Bin Junadah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Woh Kehte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Mujh Se Hai Aur Mein Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Hoo’n Aur Meri Taraf Se (Ahad Wa Paymaan Me) Mere Aur Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Siwa Koi Doosara (Zimmedaari) Ada Nahin Kar Sakta.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi, Ibn Majah Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Kehte Hain Ki Yeh Hadith Hasan Sahih Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/636, Raqam-3719,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/44, Raqam-119,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/165,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/366, Raqam-32071,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/16, Raqam-3511,
Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 03/183, Raqam-1514,
(15)   “Hazrat Abd-ul-Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Riwayat Hai Ki Jab Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Ansaar Wa Muhaajirin Ke Darmiyaan Ukhuwwat Qaaim Kee To Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Rote Huwe Aaye Aur Arz Kiya Ya RasoolAllah  ﷺ!
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Sahaba-E-Kiram Me Bhaai Chaarah Qaaim Farmaya Lekin Mujhe Kisi Ka Bhaai Nahin Banaya.
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Faraya :
Tum Duniya Wa Aakhirat Me Mere Bhaai Ho.”
Ise Imam Tirmidhi Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai
Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Yeh Hadith Hasan Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/636, Raqam-3720,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/15, Raqam-4288,
(16)   “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Aik Martaba Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Paas Aik Parinde Ka Gosht Tha, Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Duaa Kee :
Ya Allah!
Apni Makhlook Me Se Mahboob Tareen Shakhs Mere Paas Bhej Taa Ki Woh Mere Saath Is Parinde Ka Gosht Khaaye.
Chunaanche Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aaye Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Woh Gosht Tanaawul Kiya.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/636, Raqam-3721,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/146, Raqam-9372,
Ibn Hayyan Fi Tabaqat-ul-Muhaddithin Bi-Asbahan, 03/454,
(17)   Hazrat Buraydah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Aurton Me Sab Se Zyaadah Mahboob Apni Saahabzaadi Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala Anha Thi’n Aur Mardon Me Se Sab Se Zyaadah Mahboob Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu They.”
Is Hadith Ko Tirmidhi Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Yeh Hadith Hasan Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/698, Raqam-3868,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03 : 168, Raqam-4735,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/130, Raqam-7258,
(18)   “Hazrat Jumay’i’ Bin Umayr Tamimi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Apni Khaala Ke Saath Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala Anha Kee Khidmat Me Haazir Huwa Phir Mein Ne Un Se Puchha :
Logo’n Mein Koun Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Sab Se Zyaadah Mahboob Tha ?
Unhone Farmaya :
Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala Anha Phir Arz Kiya Gaya Aur Mardon Me Se Koun Sab Se Zyadah Mahboob Tha ?
Farmaya :
Us Ka Khaawind Agarche Mujhe Un Ka Zyaadah Roze Rakhna Aur Zyaadah Qayaam Kaarna Ma’loom Nahin.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Haakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Yeh Hadith Hasan Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/701, Raqam-3874,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/171
(19)    “Hazrat Hanas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Do-02 Mayndhon Kee Qurbani Karte Huwe Dekha To Mein Ne Un Se Puchha Yeh Kya Hai ?
Unhone Jawab Diya Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Mujhe Wasiyyat Farmayi Hai Ki Mein Un Kee Taraf Se Bhi Qurbaani Karun Lihaaza Mein Un Kee Taraf Se Qurbaani Karta Hoo’n.”
Is Hadith Ko Imam Aboo Dawood Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

[Aboo Dawood Fi As-Sunan, 03/94, Raqam-2790,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/150, Raqam-1285,
(20)  “Hazrat Abd-ul-Allah Bin Nujayyi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya :
Ki Mein Din-Raat Me Do-02 Dafa’ Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Bargah Me Haazir Hota.
Jab Mein Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Khidmat-E-Aqdas Me Raat Ke Waqt Haazir Hota (Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Namaz Ada Farma Rahe Hote) To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam MujheIjaazat Inaayat Farmane Ke Liye Khaanste.”
Is Hadith Ko Imam Nasa’i Aur Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Nasa’i Fi As-Sunan, 03/12, Raqam-1212,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1222, Raqam-3708,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/360, Raqam-1136,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/242, Raqam-25676,
(21)   Hazrat Umme Salama RadiyAllahu Ta’ala Anha Bayan Karti Hain Us Zaat Kee Qasam Jis Ka Mein Halaf Uthaati Hoo’n Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Logo’n Me Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Ahad Ke E’tibaar Se Sab Se Zyaada Qarib They.
Woh Bayan Karti Hain Ki Hum Ne Aae Roz Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Iyaadat Kee, Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Farmate Ki Ali (Meri Iyaadat Ke Liye) Bahut Martaba Aaya Hai.
Aap Bayan Karti Hain Ki Mera Khayaal Hai Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Kisi Zaroori Kaam Se Bheja Tha.
Us Ke Baa’d Jab Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Tashrif Laaye To Mein Ne Samjha Unhein Shaayad Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Koi Kaam Hoga So Hum Baahar Aa Gaye Aur Darwaaze Ke Qarib Baith Gaye Aur Me Un Sab Se Zyaadah Darwaaze Ke Qarib Thi Pas Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Jhuk Gaye Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se SarGoshi Karne Lage Phir Us Din Ke Baa’d Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Wisaal Farma Gaye Pas Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Sab Logo’n Se Zyaadah Ahad Ke E’tibaar Se Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Qarib They.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/300, Raqam-26607,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/149, Raqam-4671,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/112
(22)   “Hazrat Usaamah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ja’far Aur Hazrat Ali Aur Hazrat Zayd Bin Haarisah RadiyAllahu Ta’ala Anhum Aik Din Ikatthey Huwe To Hazrat Ja’far RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya Ki Mein Tum Sab Se Zyaadah Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Mahboob Hoo’n Aur Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya Ki Mein Tumm Sab Se Zyaadah Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Mahboob Hoo’n Aur Hazrat Zayd RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya Ki Mein Tum Sab Se Zyaadah Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Pyaara Hoo’n Phir Unhone Kaha Chalo Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Khidmat-E-Aqdas Me Chalte Hain Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Puchhte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Sab Se Zyaadah Pyaara Koun Hai ?
Usaamah Bin Zayd Kehte Hain Pas Woh Teenon Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Ijaazat Talab Karne Ke Liye Haazir Huwe To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Dekho Yeh Koun Hai ?
Mein Ne Arz Kiya :
Ja’far Ali Aur Zayd Bin Haarisah Hain.
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Un Ko Ijaazat Do Phir Woh Daakhil Huwe Aur Kehne Lage :
Ya RasoolAllah  ﷺ!
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Sab Zyaadah Mahboob Koun Hai ?
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Fatimah, Unhone Arz Kiya :
Ya RasoolAllah  ﷺ!
Hum Ne Mardon Ke Baare Arz Kiya Hai To Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aye Ja’far !
Tumhari Khilqat Meri Khilqat Se Mushaabah Hai Aur Mere Khulq Tumhaare Khulq Se Mushaabah Hain Aur Too Mujh Se Aur Mere Shajarah Nasab Se Hai, Aye Ali !
Too Mera Daamaad Aur Mere Do Beton Ka Baap Hai Aur Mein Tujh Se Hoo’n Aur Too Mujh Se Hai Aur Aye Zayd !
Too Mera Ghulaam Aur Mujh Se Aur Meri Taraf Se Hai Aur Tamam Qaum Se Too Mujhe Pasandidah Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.
Imam Hakim Kehte Hain Ki Yeh Hadith Sahih Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/204, Raqam-21825,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/239, Raqam-4957,
Maqdisi Fi Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 04/151, Raqam-1369,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/274,
(23)   “Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta’ala Anhu Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Aik Taweel Hadith Me Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Kisi Ko Soorah Tawbah De Kar Bheja Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Us Ke Pichhe Bheja Pas Unhone Woh Soorah Us Se Le Lee.
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Is Soorah Ko Siwaaye Us Aadami Ke Jo Mujh Me Se Hai Aur Mein Us Se Hoo’n Koi Aur Nahin Le Jaa Sakta.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Raqam-3062,
(24)   “Hazrat Aboo Saeed Khudri RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Logo’n Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Baare Me Koi Shikaayat Kee.
To Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hamaare Darmiyaan Khade Huwe Aur Khutba Irshaad Farmaya.
Pas Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Yeh Farmate Huwe Suna :
Aye Logo’n !
Ali Kee Shikaayat Na Karo, Allah Kee Qasam Woh Allah ﷻ Kee Zaat Me Yaa Allah ﷻ Ke Raaste Me Bahot Sakht Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Aur Hakim Ne Riayat Kiya Hai Aur Imam Hakim Ne Kaha Yeh Hadith Sahih-ul-Isnaad Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/86, Raqam-11835,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/144, Raqam-4654,
Ibn Hisham Fi As-Sirat-un-Nubawiyyah, 06/08,
(25)   “Hazrat Umme Salama RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Riwayat Hai Ki BeShak Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Jab Naaraazgi Ke Aalam Me Hote To Hum Me Se Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Siwaaye Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Kisi Ko Kalaam Karne Kee Jur’aat Na Hoti Thi.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Ki Yeh Hadith Sahih-ul-Isnaad Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/318, Raqam-4314,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/141, Raqam-4647,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/116,
(26)   “Hazrat Aboo Rafe’ RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Aik Jagah Bheja, Jab Woh Waapas Tashrif Laaye To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Un Se Farmaya :
Allah Ta’ala, Us Ka Rasool SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aur Jibra’il Tum Se Raazi Hain.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/319, Raqam-946,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/131,
(27)   “Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Jab Aayat-E-Mubahila :
“Aap Farma De’n Aawo Hum Apne Beton Ko Bulaate Hain Aur Tum Apne Beton Ko Bulaao.”
Naazil Huwi To Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husain Alayhim-us-Salam Ko Bulaaya, Phir Farmaya :
Ya Allah !
Yeh Mere Ahl-E-Bait Hain.”
Is Hadith Ko Imam Muslim Aur Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Farmate Hain Ki Yeh Hadith Hasan Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1871, Raqam-2404,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/225, Raqam-2999,
(21), 05/638, Raqam-3724,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/107, Raqam-8399,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/163, Raqam-4719,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,  07/63, Raqam-13169, 13170,
(28)  “Hazrat Safiyyah Binte Shaybah RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Riwayat Hai Ki Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala Anha Farmati Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Subah Ke Waqt Is Haal Me Baahar Tashrif Laaye Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Aik Chaadar Odh Rakhi Thi Jis Par Siyaah Oon Se Kajaawon Ke Naqsh Bane Huwe They.
Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Aaye To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Unhein Us Chaadar Me Daakhil Farma Liya, Phir Hazrat Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aaye Aur Un Ke Saath Chaadar Me Daakhil Ho Gaye, Phir Saiyyidah Fatimah RadiyAllahu Ta’ala Anha Aa’in To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Unhine Bhi Chaadar Me Daakhil Farma Liya.
Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Yeh Aayat-E-Mubaraka Padhi :
Aye Ahl-E-Ahl-E-Bait !
Allah To Yahi Chaaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah) Kee Aaludgi Door Kar De Aur Tumhein Khoob Paak Wa Saaf Kar De.”
Is Hadith Ko Imam Muslim Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1883, Raqam-2424,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/370, Raqam-36102,
Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/672, Raqam-1149,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/159, Raqam-4707,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/149,
Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 03/678, Raqam-1271
(29)   “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Chheh-06 Maah Tak Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Yeh Ma’mook Raha Ki Jab Namaz-E-Fazr Ke Liye Nikle To Hazrat Fatimah Salam-ul-Allah Alayha Ke Darwaazah Ke Paas Se Guzarte Huwe Farmate :
Aye Ahl-E-Bait !
Namaz Kaa’im Karo (Aur Phir Yeh Aayat-E-Mubaraka Padhte: )
“Aye Ahl-E-Bait!
Allah Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaludgi Door Kar De Aur Tum Khoob Paak Wa Saaf Kar De.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai Niz Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Yeh Hadith Hasan Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/352, Raqam-3206,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/259, 285,
Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/761, Raqam-1340, 1341,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/172, Raqam-4748,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/388, Raqam-32272,
Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/360, Raqam-2953,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/367, Raqam-12223,
(30)   “Parwardah-E-Nabi Hazrat Umar Bin Abi Salama RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Jab Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Hazrat Umme Salama RadiyAllahu Ta’ala Anha Ke Ghar Me Yeh Aayat Mubarak “Aye Ahl-E-Bait !
Allah To Yahi Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaloodgi Door Kar De Aur Tum Ko Khoob Paak Wa Saaf Kar De” Naazil Huwi.
To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhum Ko Bulaaya Aur Aik Chaadar Me Dhaanp Liya.
Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Pichhe They, Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Unhein Bhi Kamli Me Dhaanp Liya, Phir Farmaya :
Ilaahi !
Yeh Meri Ahl-E-Bait Hain, In Se Har Aaloodgi Ko Door Kar De Aur Inhein Khoob Paak Wa Saaf Farma De.’
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/351, Raqam-3205,
05/663, Raqam-3787,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/292,
Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/587, Raqam-994,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/451, Raqam-3558,
03/158, Raqam-4705,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/54, Raqam-2668
(31)   “Hazrat Aboo Saeed Khudri RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farman-E-Khudawandi :
“Aye Ahl-E-Bait !
Allah To Yahi Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaloodgi Door Kar De.”
Ke Baare Me Kaha Hai Ki Yeh Aayat Mubarak Panjatan Ke Haque Me Naazil Huwi.
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam, Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Hazrat Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhum Ke Haque Me.”
Is Hadith Ko Tabarani Ne Aur Ibn Abi Hayyan Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/380, Raqam-3456,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/231, Raqam-375,
Ibn Hayyan Fi Tabaqat-ul-Muhaddithin Bi-Asbahan, 03/384,
Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 10/278,
(32)    “Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Marwi Hai Ki Jab Yeh Aayat Naazil Huwi :
Aye Mahboob !
Farma Dijiye Ki Mein Tum Se Sirf Apni Qaraabat Ke Saath Muhabbat Ka Sawaal Karta Hoo’n.”
To Sahaba-E-Kiram Ridwan-ul-Allahi Ta’ala Alayhim Ajmaeen Ne Arz Kiya :
Ya RasoolAllah  ﷺ!
Aap Ke Qaraabat Waale Koun Hai Jin Kee Muhabbat Hum Par Waajib Ho Gayi Hai ?
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Ali, Fatimah, Aur Un Ke Donon Bete (Hasan Aur Husain).”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/47, Raqam-2641,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/168
(33)   Hazrat Aboo Barzah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aadmi Ke Donon Qadam Us Waqt Tak Agle Jaha’n Me Nahin Padte Jab Tak Ki Us Se Chaar-04 Chizon Ke Baare Sawaal Na Kar Liya Jaaye, Us Ke Jism Ke Baare Me Ki Us Ne Use Kis Tarah Ke Aamaal Me Bosidah Kiya ?
Aur Us Kee Umr Ke Baare Me Ki Kis Haal Me Use Khatm Kiya ?
Aur Us Ke Maal Ke Baare Me Ki Us Ne Yeh Kaha’n Se Kamaaya Aur Kaha’n Kharch Kiya ?
Aur Ahl-E-Bait Kee Muhabbat Ke Baare Me ?
Arz Kiya Gaya :
Ya RasoolAllah  ﷺ!
Aap Kee (Ya’ni Ahl-E-Bait Kee) Muhabbat Kee Kya Alaamat Hai ?
To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Apna Dast-E-Aqdas Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Shaane Par Maara (Ki Yeh Muhabbat Kee Alaamat Hai).”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/348, Raqam-2191,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 10/346,
(34)  “Hazrat Shuaba Bin Kuhayl Se Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Aboo Tufayl Se Suna Ki Aboo Sareehah….. Ya Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala Anhuma…. Se Marwi Hai (Hazrat Shuaba Ko Raawi Ke Muta’lliq Shak Hai) Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka Ali Mawla Hai.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Ki Yeh Hadith Hasan Sahih Hai.
Shuaba Ne Is Hadith Ko Maymoon Aboo Abd-ul-Allah Se, Unhone Zayd Bin Arqam Se Aur Unhone Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/633, Raqam-3713,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/195, 204, Raqam-5071, 5096,
وقد روي هذا الحديث عن حبسي بن جنادة في الكتب الآتية :
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/134, Raqam-4652,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/78, Raqam-12593,
Ibn Abi Asim Fi As-Sunnah, : 602, Raqam-1359,
Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 11/608, Raqam-32946,
Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/77, 144,
Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 12/343,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wan-Nihayah, 05/451,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/108,
وقد روي هذا الحديث أيضا عن جابر بن عبدلله في الكتب ألآتية.
Ibn Abi Asim Fi As-Sunnah, : 602, Raqam-1355,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/366, Raqam-32072,
وقد روي هذا الحديث عن ايوب الأنصاري في الكتب ألآتية :
Ibn Abi Asim Fi As-Sunnah, : 602, Raqam-1354,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/173, Raqam-4052,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/229, Raqam-348,
وقد روي هذا الحديث عن بريدة في الكتب ألاتيية :
Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 11/225, Raqam-20388,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01 : 71,
Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/143,
Ibn Abi Asim Fi As-Sunnah, : 601, Raqam-1353,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wan-Nihayah, 05/457,
Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 11/602, Raqam-32904,
وقد روي هذا الحديث عن مالك بن حويرث في الكتب ألاتيية :
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/252, Raqam-646,
Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45 : 177,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/106,
(35)  “Hazrat Imran Bin Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aik Taweel Riwayat Me Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
BeShak Ali Mujh Se Hai Aur Mein Us Se Hoo’n Aur Mere Baa’d Woh Har Musalman Ka Wali Hai.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Ahmed Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Kaha Hai Ki Yeh Hadith Hasan Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/632, Raqam-3712,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Raqam-3062,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/373, Raqam-6929,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/119, Raqam-4579,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/132, Raqam-8474,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/372, 373, Raqam-32121,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/293, Raqam-355,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/128, Raqam-265,
(36)  “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Jab Rasool-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hijjat-ul-Wada’ Se Waapas Tashrif Laaye To Ghadir Khum Par Qiyaam Farmaya.
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Saaebaan Lagaane Ka Hukm Diya Aur Woh Laga Diye Gaye Phir Farmaya :
“Mujhe Lagta Hai Ki Anqarib Mujhe (Wisaal) Ka Bulaawa Aane Ko Hai, Jise Mein Qubool Kar Lunga.
Tehqiq Mein Tumhare Darmiyan Do² Aham Chizein Chhod Kar Ja Raha Hoo’n, Jo Aik Dusare Se Badh Kar Ahmiyyat Kee Haamil Hain.
Aik Allah Kee Kitab Aur Dusari Meri Itrat.
Ab Dekhna Ye Hai Ki Mere Baa’d Tum In Donon Ke Saath Kya Sulook Rawa Rakhte Ho Aur Yeh Donon Aik Dusare Se Juda Na Hongi, Yaha’n Tak Ki Hawz(-E-Kawthar) Par Mere Saamne Aayengi.”
Phir Farmaya :
BeShak Allah Mera Mawla Hai Aur Mein Har Momin Ka Mawla Hoo’n.
Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya :
Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka Yeh Wali Hai, Aye Allah !
Jo Ise (Ali Ko ) Dost Rakkhe Use Too Dost Rakh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Bhi Adaawat Rakh.”
Is Hadith Ko Imam Nasa’i Aur Imam  Hakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Hakim Ne Faraya Ki Yeh Hadith Sahih Hai.

[Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/45, 130, Raqam-8148, 8464,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/109, Raqam-4576,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/166, Raqam-4969,
(37)  “Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Teen³ Khaslatein Aisi Bataayi Hain Ki Agar Mein Un Me Se Aik Ka Bhi Haamil Hota To Woh Mujhe Surkh Oont Se Ziyaadah Mahboob Hoti.
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne (Aik Mouqa’ Par) Irshad Farmaya :
Ali Mere Liye Isi Tarah Hain Jaise Haroon Alayh-is-Salam Moosa Alayh-is-Salam Ke Liye  They, (Woh Nabi They) Magar Mere Baa’d Koi Nabi Nahin.
Aur Farmaya :
Mein Aaj Us Shakhs Ko Alam Ata Karunga Jo Allah Aur Us Ke Rasool Se Mohabbat Karta Hai Aur Allah Aur Us Ka Rasool Us Se Mohabbat Karte Hain.
(Raawi Kahte Hain Ki) Mein Ne Huzoor SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko (Is Mouka Par) Ye Farmate Huwe Bhi Suna :
Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.
Is Hadith Ko Imam Nasa’i Aur Imam Shahsi Ne Riwayat Kiya Hai.
Aur Aik Riwayat Me Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aagaah Raho!
BeShak Allah Mera Wali Hai Aur Mein Har Momin Ka Wali Hoo’n, Pas Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”(01)
Is Hadith Ko Imam Hisam-ud-Deen Hidni Ne Riwayat Kiya Hai.

[Nasa’i Fi Khsa’is Amir-ul-Mominin Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, : 33, 34, 88, Raqam-10, 80,
Shashi Fi Al-Musnad, 01/165, 166, Raqam-106,
Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/88,
Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 15/163, Raqam-36496,
(1)Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 11/608, Raqam-32945,
Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 04/328,
(38)  Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Ye Farmate Huwe Suna :
Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka Ali Wali Hai Aur Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko (Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se) Ye Farmate Huwe Suna :
Tum Mere Liye Isi Tarah Ho Jaise Haaroon Alayh-is-Salam Ko Moosa Alayh-is-Salam Ke Liye They, Magar Mere Baa’d Koi Nabi Nahin, Aur Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko (Ghazwa-E-Khaibar Ke Mouka’ Par) Ye Bhi Farmate Huwe Suna :
Mein Aaj Us Shakhs Ko Alam Ata Karunga Jo Allah Aur Us Ke Rasool Se Mohabbat Karta Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Aur Imam Nasa’i Khasa’is Ali Bin Abi Talib Me Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/45, Raqam-121,
Nasa’i Fi Khasais-E-Amir-ul-Mominin Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, : 32, 33, Raqam-91,
(39)   “Hazrat Bara’ Bin Aazib RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hum Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Hajj Ada Kiya, Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Raaste Me Aik Jagah Qiyaam Farmaya Aur Namaz Bajama’at (Qaayim Karne) Ka Hukm Diya, Us Ke Baad Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya :
Kya Mein Momin Kee Jaanon Se Qarib Tar Nahin Hoo’n ?
Unhone Jawaab Diya :
Kyon Nahin !
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Kya Mein Har Momin Kee Jaan Se Qarib Tar Nahin Hoo’n ?
Unhone Jawab Diya :
Kyoon Nahin !
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Pas Yah (Ali) Har Us Ka Wali Hai Jis Ka Mein Mawla Hoo’n.
Aye Allah!
Jo Ise Dost Rakkhe Use Too Dost Rakh (Aur) Jo Is Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Bhi Adaawat Rakh.”
Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/88, Raqam-116,
(40)    “Hazrat Buraydah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Yaman Ke Ghazwah Me Sheerkat Kee Jis Me Mujhe Aap Se Kuchh Shikwa Huwa.
Jab Mein Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Khidmat Me Waapas Aaya To Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Zikr Karte Huwe Un Ke Baare Me Tanqis Kee.
Mein Ne Dekha Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Chehra-E-Mubarak Mutaghayyir Ho Gaya Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
“Aye Buraydah!
Kya Mein Mominin Kee Jaanon Se Qarib Tar Nahin Hoo’n?”
To Mein Ne Arz Kiya :
Kyoo’n Nahin, Ya RasoolAllah ﷺ !
Us Par Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ahmed, Imam Nasa’i, Imam Hakim Aur Imam Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Hakim Kehte Hain Ki Yeh Hadith Sahih Hai.

[Ahmad Bin Hanba Fi Al-Musnad, 05/347, Raqam-22995,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/130, Raqam-8465,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/110, Raqam-4578,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/84, Raqam-12181,
(41)   “Hazrat Maymoon Aboo Abdullah Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ko Ye Kahte Huwe Suna :
Hum Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Aik Waadi…. Jise Wadi-E-Khum Kaha Jaata Tha…. Me Utare.
Pas Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Namaz Ka Hukm Diya Aur Sakht Garmi Me Jama’at Karwaayi.
Phir Hamein Khutba Diya, Us Haal Me Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Sooraj Kee Garmi Se Bachaane Ke Liye Darakht Par Kapda Latka Kar Saaya Kiya Gaya.
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
“Kya Tum Nahin Jaante Ya (Is Baat Kee) Gawaahi Nahin Dete Ki Mein Har Momin Kee Jaan Se Qarib Tar Hoo’n?”
Logon Ne Kaha :
Kyoo’n Nahin!
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Pas Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai, Aye Allah!
Too Us Se Adaawat Rakh Jo Is Se Adaawat Rakkhe Aur Use Dost Rakh Jo Ise Dost Rakhe.”
Is Hadith Ko Imam Ahmed Aur Bayhaqui Ne Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/372,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/131,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kbir, 05/195, Raqam-5068,

No comments:

Post a Comment

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered By Blogger