UMMAT-RASOOL (GROUP) FOLLOWER' S

Ziyarat-E-Roza-E-Rasool ﷺ

✭Ziyarat-E-Roza-E-Rasool ﷺ✭

✭Ziyarat-E-Roza-E-Rasoo                     بِسْــــمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيـم
Qabr-E-Anwar Kee Ziyarat Kee Shara’i Haishiyat Par Ummat-E-Muslima Ka Ijma Hai.
Kaee A’imma-E-Ahnaaf Ke Nazdik Waajib Hai Jab Ki A’imma-E-Malikiah Ke Nazdik Qat’i Taur Par Waajib Hai.
Un Ke Alaawa Digar Ahl-E-Sunnat Ke Makaatib Wa Mazahib Bhi Use Waajib Qaraar Dete Hain.
Qur’an Majid Me Allah Ta’ala Ne Waazeh Alfaz Me Apne Habib SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Bargah Me Haaziri Ka Hukm Yoo’n Farmaya Hai :

Al-Qur’an :
“وَلَوْ أَنَّهُمْ إِذ ظَّلَمُوۤاْ أَنْفُسَهُمْ جَآءُوكَ فَٱسْتَغْفَرُواْ ٱللَّهَ وَٱسْتَغْفَرَ لَهُمُ ٱلرَّسُولُ لَوَجَدُواْ ٱللَّهَ تَوَّاباً رَّحِيمًا“
“Aur Agar Jab Woh Apni Jaanon Par Zulm Karein To Aye Mahboob !
Tumhare Hazoor Haazir Ho Aur Phir Allah Se Maafi Chaahe Aur Rasool Un Ki Shafa’at Farmaye To Zaroor Allah Ko Bahut Taubah Qubool Karne Waala Maherban Paaye .”
[An-Nisa, 04/64]
Is Aayat-E-Karimah Ko Faqat Sarwar-E-Kawnain SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Kee Zahiri Hayaat Par Mahmool Karna, Jaisa Ki Baaz Log Ka Gumaan Hai, Nasse Qur’ani Ka Galat Itlaaq Aur Qur’an Fahmi Se NaAashnaayi Kee Daleel Hai.
Mazkurah Bala Ayat Ki Tafsir Karte Huwe Muhaddithin Wa Mufasserin Ne Bargah-E-Mustafa SllaAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Me Haaziri Ko Mutlaq Karar Diya Hai.
Haafiz Ibn Kathir Rahmatullahi Ta’ala Alaih Us Aayat Kee Tafsir Ke Tahat Likhte Hain :
“Is Ayat-E-Karima Me Allah Ta’ala Gunahgaron Aur Khatakaron Se Irshad Farmata Hain Ki Jab Un Se Koi Khatayein Aur Gunaah Sarzad Ho Jaaye To Unhein Chahiye Ki Woh Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Kee Bargah Me Haazir Ho Aur Waha’n Allah Ta’ala Se Maghfirat Talab Kare Aur RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Kee Khidmat Me Arz Kare Ki Woh Un Ke Liye Maghfirat Kee Duaa Farmaaye.
Agar Woh Aisa Karege To Yaqinqn  Allah Ta’ala Un Kee Tauba Qubool Karega Aur Raham Farma Kar Un Par Apni Maghfirat Ke Darwaaze Khol Dega.
Isi Liye To Farmaya gaya :

“To Woh (Is Wasile Aur Shafa’at kee Bina Par) Zaroor Allah Ko Tauba Qubool Farmaane Waala Nihaayat Maherban Paate “.
Yah Riwayat Bahutso Ne Bayan Kee Hai Jin Me Se Shaikh Aboo Mansoor Sabaagh Apni Mash’hoorah” Kitab Me Utba Se Riwayat Karte Hain :
Aap Farmate Hain Ki Mein Nabi Kareem SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Kee Qabr-E-Anwar Ke Paas Baitha Tha Ki Aik Earaabi Aaya Aur Arz Kee “ اَلسََّﻻَمُ عَلَيْكَ يَا رَسُوْلَاللهِ ﷺ ” Mein Ne Qur’an Kareem Kee Aik Ayat Suni Hai :

Tumhare Hazoor Haazir Ho Aur Phir Allah Se Maafi Chaahe Aur Rasool Un Ki Shafa’at Farmaye To Zaroor Allah Ko Bahut Taubah Qubool Karne Waala Maherban Paaye.”
Mein Apne Gunaahon Kee Bakhshish Ke Liye Aap Kee Bargah Me Haazir Ho Gaya Hoo’n Aur Aaap Ko Apne Rab Kee Bargah Me Shafi’ Banaata Hoo’n.
Phir Us Ne Ye Ash’ar Padhe :
يا خير من دفنت بالقاع أعظمه
فطاب من طيبهن القاع و الأكم
نفسي الفداء لقبر أنت  ساكنه
فيه العفاف وفيه الجود والكرم
“Aye Un Sab Se Afzal Tareen Hastee Jin Ke Jasad-E-Khaaki Ko Us Sar Zameen Me Dafan Kiya Gaya Hai.
Jin Kee Khooshbu Se Maidan Aur Tile Mahak Uthe.
Meri Jaan Is Qabr Par Qurban Ho Jis Me Aap ﷺ Rounak Afroz Hain,
Isi Me Parsaa’i Hai Aur Isi Me Joudon Sakha Hain (Bakhshish Aur Joodo Karam Jalwa Afroz Hai).
Utba Farmate Hain Ki She’r Kahne Ke Baad Earaabi Laut Gaya Aur Mujhe Nind Aa Gayi.
Mein Ne Khwaab Me Nabi-E-Pak SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Kee Ziyarat Kee Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Farma Rahe They Ki Aye Utaba !
Earabi Haque Kah Raha Hai, Pas Tum Jaawo Aur Earaabi Ko Khuskhabri De Do Kee Allah Ta’ala Ne Use Bakhs Diya Hain.

[Ibn Kathir Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 01/519, 520,
Earaabi Ka Mazkoorah Baala Mash’hoor Waqiah Darj Zail Kutub Me Bhi Bayan Kiya Gaya Hai :
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 03/495, 496, Raqam-4178,
Ibn Qudamah Al-Mughni, 03/298,
Nawawi Kitab-ul-Azkar : 92, 93,
Sabaki Shifa’-us-Siqam Fi Ziyarah Khair-ul-Anam : 46, 47,
Maqrizi Imta’-ul-Asma’, 14/615.]    
Imam Qurtabi Ne Apni Ma’roof Tafsir ‘Al-Jami’-ul-Ahkam Al-Qur’an (05/265, 266)” Me Utaba Kee Riwayat Se Milta Julta Aik Aur Waqia Yoo’n Bayan Kiya Hain :
“Aboo Sadiq Ne Hazrat Ali KarrmAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Se Riwayat Kiya Hain Ki Hamare Saamne Aik Dehaati Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Kee Tadfeen Ke Teen Din Baad Madinah Munawwarah Aaya.
Us Ne Farte Gham Se Apne Aap Ko Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Kee Qabr-E-Mubarak Par Geera Liya.
Qabr-E-Anewar Kee Mitti Apne Oopar Daali Aur Arz Kiya :
Aye Allah Ke Rasool ﷺ !
Aap ﷺ Ne Farmaya Aur Hum Ne Aap ﷺ Ka Qaul Mubarak Suna Hai, Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Allah Se Ahkamat Liye Aur Hum Ne Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Se Ahkam Liye Aur Unhi Me Se Allah Ta’ala Ka Yah Farman Bhi Hai :

Aur Agar Jab Woh Apni Jaanon Par Zulm Karein To Aye Mahboob !

Mein Ne Bhi Apne Oopar Zulm Kiya Hai, Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa SallamMere Liye Ishtaghfar Farma De.
Earaabi Kee Is (Aajizana Aur Muhabbat Bhari) Iltija Par Use Qabr Se Needa Dee Gayi :
“Beshak Tumhari Maghfirat Ho Gayi Hai.”

[Qurtabi Al-Jami’-ul-Ahkam Al-Qur’an, 05/265]
Utaba Kee Is Riwayat Ka Akabir Muhaddithin-E-Kiram Ne Eatamad Kiya Hai.
Imam Nawawi Ise Apni Ma’roof Kitab “Al-Izah” Ke Chhthe Baab (Safah : 454, 455) Me, Aboo’l Faraz Bin Qudamah Ne Apni Tasnif “As-Sharh-ul-Kabir (03/495)” Me Aur Shaikh Mansoor Bin Yoonus Bahuti Ne Apni Kitab : Kashaf-ul-Qanah (05/30)”, Jo Mazhab Hanbali Kee Mash’hoor Kitab Hai, Me Use Naqal Kiya Hai.
Alawa Azi’n Tamam Mazahib Ke Azal A’imma Wa Ulama Ka Utaba Kee Riwayat Ke Mutabiq Dehaati Ka Roza-E-Rasool SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Par Aa Kar Maghfirat Talab Karna Un Kee Kitabon Me Ziyarat-E-Roza-E-Rasool SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ya Manasik-E-Hajj Ke Zayl Me Bayan Huwa Hai.
Jis Me Imam Ibn Kathir, Imam Nawawi, Imam Qurtabi, Imam Ibn Qudamah, Imam Sabki, Imam Suyuti, Imam Zurqani Samet Kaee A’imma Shaamil Hain.
Sawaal Ye Hain Ki Kya In Akaabir Muhaddithin Wa Mufassirin-E-Kiram Ne Kufr Aur Gumrahi Ko Naqal Kiya Hai ?
Ya (Ma’azAllah) Woh Baat Naqal Kee Hai Jo But Parasti Kee Ya Qabr Parasti Kee Ghamaaz Hai ?
Agar Aisa Taslim Kar Liya Jaaye To Phir Kis Imam Ko Moatabar Aur Kis Kitab Ko Saqaah Wa Mustanad Mana Jaayega ?
Lihaaza Jab Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ka Baad Az Wisaal Ummat Ke Liye Ishtaghfar Farmana Mumkin Hai Aur AapSallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ka Ummat Ke Haque Me Intehayi Shafiq Wa Rahim Hona Nasoos-E-Qur’an Wa Sunnat Se Saabit Aur Mut’haqique Hai To Yah Amr Qat’an Wa Hat’man Ma’loom Huwa Kee Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Baad Az Wisaal Bhi Roza Mubarak Par Hazir-E-Khidmat Hone Waalon Ko Mahroom Nahin Farmate.
Irshad-E-Bari Ta’ala Hai :
“وَمَن يَخْرُجْ مِن بَيْتِهِ مُهَاجِراً إِلَى ٱللَّهِ وَرَسُولِهِ ثُمَّ يُدْرِكْهُ ٱلْمَوْتُ فَقَدْ وَقَعَ أَجْرُهُ عَلىَ ٱللَّه“ِ
“Aur Jo Shakhs Bhi Apne Ghar Se Allah Aur Us Ke Rasool Kee Taraf Hizarat Karte Huwe Nikle, Phir Use (Raaste Me Hee) Mout Aa Pakade To Us Ka Ajr Allah Ke Zimme Saabit Ho Gaya.”

[An-Nisa’, 04/100]
Ayat-E-Muqaddasa Kee Roushni Me Yah Baat Waazeh Ho Jaati Hai Ki HuzoorSallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Wisaal Ke Baad Jo Shakhs Apne Naha Khaana Dil Me Gumbad-E-Khazara Ke Jalwon Ko Sametne Kee Niyyat Se Safar Ikhtiyaar Karta Hai Us Par Bhi Isi Hijrtae Ilar Rasool SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ka Itlaaq Hota Hai.
✭Ziyarat-E-Roza-E-Rasool ﷺ✭
                     بِسْــــمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيـم

No comments:

Post a Comment

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered By Blogger